Logo

    Healthy Zindagi

    “Pehla sukh Nirogi Kaya” Ye apne bahut bar suna hoga. 'WHO' kehta hai ki healthy hona sirf disease ki absence nahi hai. Overall health ka meaning hai apka Mentally, Physically and emotionally better feel karna. Issme aap ki help karne ke liye Health Shots la raha "Healthy Zindagi Podcast season 2". Iske har episode me hum har baar ek Health Expert se baat karenge. Jo life ko unhealthy banane wale karno, Disease ke symptoms aur unke treatment ke bare me batayenge. Apni Health ki weekly dose ke liye tune in now!
    hi118 Episodes

    People also ask

    What is the main theme of the podcast?
    Who are some of the popular guests the podcast?
    Were there any controversial topics discussed in the podcast?
    Were any current trending topics addressed in the podcast?
    What popular books were mentioned in the podcast?

    Episodes (118)

    Understand the unidentified risk of Autoimmune diseases

    Understand the unidentified risk of Autoimmune diseases
    Autoimmune disease esa agyat khatra hai, jin se bach pana bahut mushkil hai. Ye apki muscles, bones, lungs, heart, brain aur skin ko bhi prabhavit kar sakti hain. Inke causes aur symptoms ke bare me jankar inse better way me deal kiya ja sakta hai. Kya hain autoimmune diseases ke risk aur kya ho sakta hai inse deal karne ka upaye, Healthy Zindagi podcast ke iss episode me bata rahi hain senior Rheumatologist Dr Kiran Seth. Unke sath hain host Yogita Yadav.

    How to take care of eyes to avoid visual impairment

    How to take care of eyes to avoid visual impairment
    Bahut zyada screen time, pollution aur bad lifestyle ke karan zyadatar logo ki eyes weak ho rahi hain. Dry eye, eye strain, glaucoma and diabetic retinopathy sahit eyes related problems bad rahi hain. Inse kaise bacha jaye, aur eyesight ko kaise better rakha jaye, jante hain healthy zindagi podcast ke iss episode me eye specialist Dr Saurabh Arora se. Podcast ko host kar rahi hain Yogita Yadav.

    How To Avoid Toothache and Maintain Dental Health

    How To Avoid Toothache and Maintain Dental Health
    Hum sabhi ne kabhi na kabhi toothache ka samna kiya hoga aur iske liye friends aur family ne kayi remedies bhi batayi hongi. Par sawal ye hai ki daily brush karne ke bad bhi teeth kharab kyu hone lagte hain ya unme pain aur bleeding jesi problems kyu hone lagti hain. Dental health se jude ese hi sawalo ke jawab janne ke liye sunen Healthy Zindagi podcast ka ye episode . Jise host kar rahi hain Yogita Yadav aur expert hain Delhi based dentist Dr Nabhika Mittal.

    World Cancer Day: Know why cancer cases are increasing rapidly.

    World Cancer Day: Know why cancer cases are increasing rapidly.
    China and USA ke bad cancer ke sabse zyada cases ab India me dekhne me aa rahe hain. In me breast cancer, cervical cancer, colon cancer, lung cancer etc sabhi shamil hain. Akhir kyu badh rahe hain cancer cases aur inhe kaise control kiya ja sakta hai, Healthy Zindagi podcast ke iss episode me Rajiv Gandhi cancer institute me Senior Consultant & Head of Gynae Oncology Dr Vandana Jain se Jante hain. Podcast ko host kar rahi hain Yogita Yadav.

    Know how small insects can damage your lymphatic system.

    Know how small insects can damage your lymphatic system.
    naked eyes se Nazar na ane wale kuch tiny insects bhi serious diseases ka karan ban sakte hain. Unfortunately, Inke symptoms bahut salo bad nazar aate hain aur tab tak inka ilaz impossible ho chuka hota hai. Esi hi kuch bimariyo ko WHO ne neglected tropical diseases me rakha hai. janiya kya hain ye aur inse kaise bacha ja sakta hai, public health expert Dr. Bhupendra tripathi se.Main hoon aapki host Yogita Yadav, aur aap sun rahe hain hamara aaj ka special podcast. Chaliye, is vishay par aur gahrai se charcha karte hain.

    How to get rid of pain

    How to get rid of pain
    Sir se lekar pair tak apke shareer me kayi jagah par, kayi tarah ke pain hote hain. Par har pain ka ilaj sirf pain killer nahi hain. zara si laparwahi ise chronic pain bana sakti hai. Health shots podcast Healthy Zindagi ke iss episode me Pune based chronic pain expert Dr Nivedita Page bata rahin hain pain ke causes aur different treatments.
    Healthy Zindagi
    hiDecember 15, 2023

    Know how to reverse diabetes with foods

    Know how to reverse diabetes with foods
    Diabetes ek lifestyle disorder hai. Ye jitni tezi se duniya bhar me badh rahi hai, uss se health ke liye chintaye badhna swabhavik hai. Unhealthy diet aur lifestyle type 2 diabetes ke sabse bade Karan hain. Sugar se bachne ke liye zaruri hai ki aap apni diet par dhyan de, sath hi agar kisi ko diabetes hai, toh uska upchar bhi food par dhyan dekar kiya ja sakta hai. Dietician aur Diabetes educator Dr Archana Batra Healthy Zindagi ke iss episode me bata rahi hain foods ke madhyam se diabetes ko manage karne ka tarika. Tune in kijiye Yogita Yadav ke sath.

    Brain hai apki sehat ka engine.

    Brain hai apki sehat ka engine.
    Head, spine aur nerves ye wo zaruri hisse hain jo apke poore shareer aur sabhi senses ko control karte hain. Isliye inki sehat par dhyan diya jana aur bhi zyada zaruri hai. Healthy Zindagi podcast ke iss episode me Neurologist Dr Vinit Banga bata rahe hain neurological problems ke causes, symptoms aur treatment ke bare me. Tune in kijiye health shots podcast Yogita Yadav ke sath.

    Understand your mental health to stay healthy.

    Understand your mental health to stay healthy.
    Pareshan hona, gussa ana ya udas hona kisi bhi tarah se bura nahi hai, jab tak ki ye apke daily routine aur day to day task ko disturb nahi karta. Unpleasant ya negative emotions kisi me bhi ho sakte hain. par agar ye apki productivity, health aur relationship ko affect karne lage toh zaruri hai expert ki help lena. Fortis health care me Clinical psychiatrist Dr. Trideep Choudhary bata rahe hain mental health issues ke causes, triggers, symptoms aur treatment. Tune in kijiye healthy Zindagi Podcast Yogita Yadav ke sath.
    Healthy Zindagi
    hiNovember 24, 2023

    Lungs ko healthy rakhne ki expert advice.

    Lungs ko healthy rakhne ki expert advice.
    Delhi- NCR sahit poore desh me air pollution badhta ja raha hai. Har sal lagbhag yahi hal hota hai. Jiske karan bahut sare logo ko breathing issue, allergy, cold and cough jesi samasyao ka samana karna padta hai. Inse bachne aur behtar sans lene ke liye senior consultant pulmonology Dr Avi Kumar de rahe detail information. Lung health ko boost karne ke liye tun in karen Healthy Zindagi ka ye episode Yogita Yadav ke sath.

    Kya hai weight loss ka sabse healthy way

    Kya hai weight loss ka sabse healthy way
    Young adults ki 90% population apne weight se khush nahi hai. sabhi weight loss karna chahte hain. Par inme se bahut kam hain jo weight loss ke liye mehnat karte hain. Jabki zyadatar ko ye pata hi nahi hota ki weight loss la sahi tarika kya hai. Toh Healthy Zindagi ke iss episode me Dietician Vidhi chawla se janiye festive season me bhi weight loss aur weight maintain karne ka sahi tarika. Is episode me apke sath rahengi apki host Yogita Yadav.
    Healthy Zindagi
    hiNovember 10, 2023

    Understand Menopause, to Deal Better.

    Understand Menopause, to Deal Better.
    Menoapaus reproductive life ka ek esa padav hai, jaha par har stree ko pahuchna padta hai. Period cycle ke end se jaha aap relax ho jati hain , wahin iske sath bahut sare health issue bhi face karne padte hain. Inse better way me deal karne ke liye zaruri hai ki aap iske bare me sab kuchh jane. Healthy Zindagi podcast me Menopause ke bare me bat kar rahi hain Senior gynecologist Dr Surbhi Singh, aur unke sath hain Yogita Yadav.

    Flu aur fever se karen mukabla expert tips ke sath

    Flu aur fever se karen mukabla expert tips ke sath
    Badalte mausam me cold, cough, flu aur fever ke mamle lagatar badhte ja rahe hain. Inke symptoms Dengue, malaria aur covid-19 se milte julte lagte hain. Healthy Zindagi ke iss episode me Dr. Shrey Shrivastava bata rahe hain flu, fever aur other viral disease ke symptoms, causes aur treatment ka sahi tarika. Tune in kijiye Health Shots Podcast Healthy Zindagi Yogita Yadav ke sath.

    Breast Cancer ko Harana Hai, Sahi Awareness Ke Sath.

    Breast Cancer ko Harana Hai, Sahi Awareness Ke Sath.
    Breast Cancer ya stan cancer duniya bhr me mahilao ki sehat ke liye ek khatra ban raha hai. 2020 tak globally 2.3 million mahilao me breast cancer detect hua. Jinme se 6,85000 mahilao ko iske karan jan gavani padi. India me 27% women breast cancer se affected hain. Isliye ye zaruri hai ki hum sabhi iske bare me zyada se zyada jane. Healthy Zindagi podcast ke iss episode me Surgical Oncologist Dr. Mansi Chowhan se Breast Cancer ke causes, symptoms aur advance treatment par bat kar rahi hain host Yogita Yadav. October Breast Cancer Awareness Month hai, aaiye iss month me hum self-examination ke sath tez karen breast cancer ke khilaf global war.
    Healthy Zindagi
    hiOctober 20, 2023

    Heart Health: Tips to prevent heart attack and cardiovascular disease

    Heart Health: Tips to prevent heart attack and cardiovascular disease
    India aur globally young logo me heart health issues badh rahe hain. Aksar hum apne aas paas heart attack, cardiac arrest aur cardiovascular disease ke bare me sunte hain. Ye kyu hoti hain? Inse kaise bacha ja sakta hai aur kya ho sakta hai healthy heart ke liye sahi lifestyle aur upchar, Janne ke liye sune Healthy Zindagi season 2 ka ye episode.Isme Dr. Nishith Chandra se baat kar rahi hain Health Shots Hindi Editor Yogita Yadav.
    Healthy Zindagi
    hiOctober 13, 2023

    Ovarian cancer: How to Defeat this life-threatening enemy of Women

    Ovarian cancer: How to Defeat this life-threatening enemy of Women
    Ovaries female reproductive organ ka important hissa hain. Ye na sirf egg taiyar karti hain, balki female hormone bhi release karti hain. Par in dino Ovarian cancer ke, cases badhte ja rahe hai. Ye women mein hone wala 8th sabse risky cancer hai. ye kyu hota hai, iske symptoms kya hain aur iss se kaise bacha ja sakta hai, Ye sab janne ke liye suniye Healthy Zindagi ke iss episode ko, Jisme, apki host Yogita Yadav baat kar rahi hain women health expert Dr Ritu Sethi se.

    Vitamin D deficiency causes, symptoms and preventive measures

    Vitamin D deficiency causes, symptoms and preventive measures
    Sunshine vitamin ke bare me toh apne suna hi hoga. Haan wahi Dhoop se milne wala vitamin jo hum sab ko bilkul free me milta hai. Iske bawajood har 4 me se 3 Indians Vitamin D deficiency ka samna ka rahe hain. Jabki ye hamari Bone, Mental health aur growth ke liye bhi bahut zaruri hai. Kyu jyadatar log me rahi hai Vitamin D deficiency aur kya ho sakte hain iske side effect, Janne ke liye bat Health Shots podcast Healthy Zindagi ke is episode me bat karte hain orthopedic expert Dr. Aman dua se.
    Healthy Zindagi
    hiSeptember 29, 2023

    Don't forget to live a healthy life

    Don't forget to live a healthy life
    The Healthy Zindagi podcast has completed a glorious run of 100 episodes! To celebrate that, host Pooja Barry gives a friendly reminder on the importance of overall health and how to live a healthy life for a better tomorrow. Make choices that help you prevent diseases and health issues - be it physical or mental! In this special episode, know about: * Importance of overall health * Nutrition and health * Benefits of exercise and fitness * Meditation and mental peace * Importance of sleep and sleeping habits * Relationships and well-being