Logo

    Pen paper and heart 🖋📜❤

    We at pen paper and heart believes in a heart to heart talk with the help of pen and paper,when some feelings are overwhelmed, they melt down into paper in the form of wordsfor more podcast and blogsplease visit penpaperandheart.com
    hi26 Episodes

    People also ask

    What is the main theme of the podcast?
    Who are some of the popular guests the podcast?
    Were there any controversial topics discussed in the podcast?
    Were any current trending topics addressed in the podcast?
    What popular books were mentioned in the podcast?

    Episodes (26)

    How to overcome fear ? | Mindset Matters | Wisdomful Insights | by Himani Rathore

    How to overcome fear ? | Mindset Matters | Wisdomful Insights | by Himani Rathore

    This podcast is a candid conversation between me and my cousin which started from overcoming his fears and went to mindset making and showing a way of life.
     What tools of transformation can do and how a gurukul kind of education can set a strong foundation of our future are some of the key points that has been discussed. 
    This podcast is focussing on creating a attitude of winning and realising the true potential of being human by having control over our basic faculties . 
    All that has been discussed in the podcast is a true experiential understanding shared for the welfare of those who are seeking a misery free progressive life.

    Krishna Seekh Chapter 6 ~ Written By Pooja Mishra Vocals By Chiranjivee Rathore

    Krishna Seekh Chapter 6 ~ Written By Pooja Mishra Vocals By Chiranjivee Rathore

    Aaj ka krishna seekh ka bhaag ek aitihaasik din ka varnan hai..wo din jab Mahabharat ka yuddh aarambh hua tha…

    Ek taraf Pandav, or sunki sena or Krishna khade the…dusri ore Kaurav or unki sena…Tay hua tha ki Suryoday k samay Shankhnaad ki awaaz se Yuddh ka aarambh kia jaega…sabhi log Shankh naad krne hi wale the…Ki Krishna ne dekha ki Arjun ka mann bht vichlit hai… Unke hath me itni bhi shakti nhi hai ki wo dhanush utha sake…Unhone arjun se pucha…”Hey Paarth kya hua…tmhara mann itna vichlit kyu hai”. Arjun ne jawab dia Madhav, samne Pitamah khade hain jinhone bachpan se lekr aajtk mera sanrakshan kia…Guru  dron khade hain..jinhone mujhe saari siksha di. Mamaji khade hain jinke samne shashtra uthana nhi hai sar jhukana hai..mere bhai khade hain..Mai inke sath kaise yuddhh karu..

    Is par Krishna ji ne bola..Tmhe aaj ye sab priy lag rae hain toh yaad karo wo din Jab inhi mamaji ne chhal se tmhara rajya le lia tha…Dekho Dushashan ko jo Draupadi ko baalo se khich k rajbsabha me le aya tha ..dekho is duryodhan ko…jisse tm apna bhai keh rae ho..isine draupadi ko nirvastra karne kaa aadesh dia tha..dekho guru dron or pitamah ki taraf…jo bas sar jhukae khade rae..or kisine bhi kaurvo k anyaay ka virodh nhi kia.

    Ye sab sunke or Us din k bare me yaad krke jab bhari sabha k samne duryodhan or baki sabne milke Arjun,unke bhai or Draupadi ka apmaan kia tha, Arjun ko bht gussa aya. Or wo bole… “ Madhav , mai yuddh k liye taiyyar hu…mai in sabko maar k apne bhaiyo or patni ko nyaay dilauga.”

    Ye sunke Krishna ji muskurae, or bole…Paarth ek baar fir samne dekho…ye wahi pitamah hain,,,jo tmhe tmhara rajya wapas dilane k liye Khud ka jeevan kurbaan krne ko taiyyar the, Zra dekho Guru Dron ki taraf… jinhone tmhe vishv ka Sreshtha Dhanurdhar bnane k liye eklavya ka angutha guru-dakshina me maang lia or jeevan bhr ka paap apne sar le lia…Kya inka vadh krna uchit hoga…sab sunkar Arjun fir soch me pad gae

    Krishna ne kaha  “chalo Paarth ek baar apne paksh ki taraf bhi dekho…dekho kya galti sirf kaurvo ki thi…Agr tmhare bhai yudhishthir apne bhaiyo or Draupadi ko daav pe nhi lgaate toh shayad aaj ka din dekhna hi na pdta…kya unka ye sab krna uchit tha…Ab tum btao Paarth tmhe kiske paksh me dhrarma dikhai deta hai..or kiske paksh me adharma.”

    Is par Arjun bole “ Madhav mujhe toh dono hi paksho me dharma bhi dikhta hai..or Adharma bhi…Ab aap hi btae ki mai kya karu..Aap hi mujhe gyaan de…”

    Tab Krishna ji ne unhe samjhaya ki Jeevan me sahi or galat k bich ka chunaav bht asaan hota hai..par kabhi kabhi aise mod aate hain jaha hme galat or kam galat k bich ka chunaav krna hota hai..or ye chunaav kbhi bhi asaan nhi hoga, par hme aaj ki hi nhi aane wale kal ka bhi sochke ye chunaav krna hai.. ye mat socho Paarth ki iss yuddh me kiska rakt bahega or kon bachega , ye socho ki Iss yuddh k baad Dharma ki sthaapna hogi…

    Isliye ye nirbalta chhodo …shastra uthao or yuddha karo..

    Sach hi smjhaya Krishna ji ne Arjun ko ki life me black n white ko alag krna easy hai..but jaha chize shady or grey dikhti hain hme kuch smjh nhi ata..but wahi ek time hota hai jaha Wisdom ka use krna hota hai. Kyuki dono hi sides galat lgti hain

    Or us samay, We have to choose the choice which feels the least wrong. Toh life me jab bhi koi aisa mod aae jaha chize black or white nhi but grey dikhe, toh bs ek baat yaad rakhiyega..

    It is easy to choose between a right and a wrong. But to choose less wrong between two wrongs and better between two rights, makes all the difference

     

    School Ka Pyaar ~story by Pooja Mishra vocals by Chiranjivee Rathore

    School Ka Pyaar ~story by Pooja Mishra vocals by Chiranjivee Rathore

    Ye kahani shuru hoti hai School se, April ki garmi or Maths ki class..Isse zyada torture or kya ho skta hai..Or 11th -A ki poori class me sbse zyada torture feel kr rae the Kunal or uske dost. Kyuki unka pdhne me kbhi mann hi nhi lgta tha. Bas saare shaitani wale kam ki list me wo hmesha top pe rehte the.Tbhi class me ek ladki aati hai… 

    Krishna Seekh Chapter 3 ~ Written By Pooja Mishra Vocals By Chiranjivee Rathore

    Krishna Seekh Chapter 3 ~ Written By Pooja Mishra Vocals By Chiranjivee Rathore

    Krishna seekh k iss bhaag me hum bat krege ek aisi ghatna ki jisne mahabharat k yudhh ki neev rkhi..hum baat krege Draupadi cheerharan ki ..

     

    Dyut kreeda me shakuni ne chhal se pandavo ko hara dia..or yudhishthir ne sbse pehle apna saamrajya..fir apne bhaiyo ko daav pe lga dia..or ek ek krke sbko haar gae..fir unhone draupadi or khudko bhi daav pe lga dia..par shakuni k chhal k aage wo kuch na kr sake or Draupadi or apne aap ko bhi haar gae..

     

    Duryodhan k kehne pe Dushashan Draupadi ko baalo se kheechte hue sabha me le aya..or use nirvastra krne lga. 

    Krishna Seekh Chapter 2 ~ Written By Pooja Mishra Vocals By Chiranjivee Rathore

    Krishna Seekh Chapter 2 ~ Written By Pooja Mishra Vocals By Chiranjivee Rathore

    [Shri Krishna ka rishta sbke sath hmesha se hi alag rha tha…kbhi unhone Arjun k sarthi bnke ranbhumi me unki madad ki toh kbhi Unhi k Guru bnke unhe Geeta ka Gyan dia…Kabhi Dronacharya ko guru kehke unka samman kia…or kbhi dharma ki raksha k liye unhi ko gyan dia. Par sbse alag rishta unka Draupadi k sath tha…Mitrata ka…dosti ka…Krishna unhe sakhi(female friend) kehke bulate the…Or Draupadi Krishna ko Govind… Aaj k iss bhag me hm Ek aisi hi seekh ki baat krege jo Shri Krishna ne apni sakhi Draupadi ko di ].

     

    Krishna Seekh Chapter 1 ~ Written By Pooja Mishra Vocals By Chiranjivee Rathore

    Krishna Seekh Chapter 1 ~ Written By Pooja Mishra Vocals By Chiranjivee Rathore

    [Krishna …Madhav ..Gopal na jane kitne hi namo se Shri Krishna ko Mahabharat me har kisi ne pukara… or hum jab Krishna gyan ki bat krte hain ..sirf ek hi shabd samne aata hai..Bhagwat Geeta.. Toh kya iska matlab Krishna ne sirf geeta k roop me hi gyan dia.. Nahi Bhagwat Geeta toh wo gyan hai jo Krishna ne arjun ko ranbhumi me dia…par kitni hi batein…kitni hi seekh hain jo unhone sikhai…Hum unhi kuch seekh ki bate krege…]

    Safarnama ~ A poem written and narrated by Vijay Laxmi V.J.

    Safarnama ~ A poem written and narrated by Vijay Laxmi V.J.

    चल ढूंढ़ते हैं , सफरनामा एक नया
    पत्थर की मूरतों को इंसान बनाते हैं
    इक बस हंसी तू फूंकना , कुछ रंग छिड़कू मैं
    चल मिलके , इक नया गुलिस्तां बनाते हैं !

    चल तोड़ते हैं आज ये , दीवार-ए-अजनबी
    चल मिलके एक नया खुशनुमा जहाँ बनाते हैं !
    शिकायत न हो तुझे , न मुझे, की मैं बदल गया
    नक्काशी करके , आइना-ए-इमान बनाते हैं !

    बिखरे हुए तिनके हैं, जो चल मिलके समेटते हैं
    सादी सी डोरियों में थोड़ा रंग लपेटते हैं
    चल दुरुस्त करते हैं, तस्सवुर कुछ इस कदर ,
    क़ुत्बों में कौंसे हो जड़ें, वो अंजाम बनाते हैं !

    परवाज़ न तेरी रुके, न मेरी चढ़े सलीब पे
    चल उड़ान भरते हैं , और एक नया आसमान बनाते हैं !

    Akansh~ Ek Adhoori Kahani ~ Story by Pooja Mishra Vocals by Chiranjivee Rathore

    Akansh~ Ek Adhoori Kahani ~ Story by Pooja Mishra Vocals by Chiranjivee Rathore

    Adhoori kahani

    Ye kahani hai ek ladke ki ,Akansh ki. Akansh, ek Engineering college me pdhta tha. Akansh hmesha se aisa ladka rha tha jo bilkul carefree rehta tha. Tension kya hoti hai ,usse toh pta hi nhi tha B.tech me jaha class k saare students hr bat ki tension lete the.Kbhi exams ki,kbhi Assignments ki toh kabhi attendance ki. But Akansh un sabse alag tha,shayad isiliye uski kahani bhi bilkul alag thi.


    Definition of Success ~ written by Pooja Mishra and Vocals by Chiranjivee Rathore

    Definition of Success ~ written by Pooja Mishra and Vocals by Chiranjivee Rathore

    Success…Kya matlab hai iss word ka..Kuch k liye exam top kr jana hi success hai..kuch k liye apna khud ka ghr kharidna …toh kuch logo k liye success ka matlab itna hi hai ki bs hr raat khane ko kuch khana mil jae…bhookhe pet raat na kaatni pde…

    Ek word …or itni saari definition…kyu.. kbhi socha hai…hm apni success ki definition khud decide krte hain.kayi bar apni situation ko dekhke,kayi bar apne khwabo ko dekh ke,or kayi baar apni majbooriyo ko dhyan me rkh ke. Jb tak apni success ki definition hum khud decide krte hain, sb acha hota hai,hme motivation milti hai,hm khush rehte hain.apne achievements se,But jis din ..jis moment hm apni success ki definition dusro ke hath se likhne lgte hain,sari problems wahi se start hoti hai.


     

     

    Yaadon Ka Rishta ~ Poem By Mrs. Nirmala Singh Vocals by Chiranjivee Rathore

    Yaadon Ka Rishta ~ Poem By Mrs. Nirmala Singh Vocals by Chiranjivee Rathore

    बरसों से
    बिना दस्तक दिए
    मेरे दिल में
    वो अपना घर बनाते जा रहे हैं
    वे पंक्षी अपना समय पूरा कर
    उड़ जाते हैं
    नयी मंजिल की तलाश में
    फिर कभी गाहे बगाहे
    टकरा जाते हैं मुझसे
    इस सवाल के साथ
    कि क्या वे याद हैं मुझे?
    जब मैं उन्हें उनके नाम से
    उनकी पहचान बता देती हूं
    उनकी आंखों की चमक
    उनकी आवाज में खुशी की छनक
    मुझे भी बहुत अमीर बना देती है
    लगता है
    मैंने दुनिया की सबसे ज्यादा कमाई की है
    नादान कहीं के
    ये भी नहीं जानते
    उन्होंने मेरे दिल में
    अपना घर बना लिया है
    और साल दर साल वे जुड़ते जा रहे हैं
    बिना दस्तक, बिना इजाजत
    मेरे दिल मे घर बनाते जा रहे हैं
    और मेरा दिल भी
    कितना बड़ा हो गया है
    सबको पनाह देता ही जा रहा है
    कौन हैं ये?
    ये हैं वो बच्चे
    जिनसे बरसों से
    गुरु-शिष्य का रिश्ता
    जुड़ता चला जा रहा है